HoneHein Shikasta Abhi Aasaab Lagi Shart Main Todne Wali Hoon Sabhi Khuwaab Lagi Shart
ہونے ہیں شکستہ ابھی اعصاب لگی شرط
میں توڑنے والی ہوں سبھی خواب لگی شرط
HoneHein Shikasta Abhi Aasaab Lagi Shart
Main Todne Wali Hoon Sabhi Khuwaab Lagi Shart
اے شام کے بھٹکے ہوئے ماہتاب ، سنبھل کر
ھے گھات میں بستی کا یہ تالاب ، لگی شرط
Aey Shaam Ke Bhatkay Hoe Mahtaab Sanbhal Kar
Hai Ghaat Mein Basti Ka Ye Talaab Lagi Shart
اچھا تو وہ تسخیر نہیں ہوتا کسی سے ؟؟
یہ بات ہے تو آج سے احباب ، لگی شرط
Acha Tou Woh Taskheer Nahi Hota Kisi Se ??
Ye Baat Hai Tou Aaj Se Ahbaab Lagi Shart
پھر ایک اسے فون میں رو رو کے کروں گی
پھر چھوڑ کے آجائے گا وہ جاب ، لگی شرط
Phir Aik Usay Phone Mein Ro Ro Ke Karongi
Phir Chod Ke Aa Jaye Ga Woh Job Lagi Shart
اس شخص پہ بس اور ذرا کام کرونگی
سیکھے گا محبت کے وہ آداب ، لگی شرط
Us Shakhs Pe Bas Aur Zara Kam Karongi
Seekhayga Muhabbat Ke Woh Aadaab Lagi Shart
جو دکھ کی رتوں میں بھی ہنسی اوڑھ کے رکھیں
ہم ایسے اداکار ہیں نایاب ، لگی شرط
Jo Dukh Ki Ruton Mein Bhi Hansi Aod Ke Rakhein
Hum Aise Adakar Hein Nayaab Lagi Shart
جب چاہوں تجھے توڑ دوں میں کھول کے آنکھیں
اے چشمِ اذیت کے بُرے خواب ! لگی شرط
Jab Chahon Tujhe Tod Don Main Khol Ke Aankhein
Aey Chishm e Azeeyat Ke Bure Khuwaab Lagi Shart
کومل جوئیہ
Komal Joiya
Comments
Post a Comment