Jawaab De Na Sakein Jis Ka Do Jahan SAGHAR Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai



عطا جسے تیرا عکس جمال ہوتا ہے
وہ پھول سارے گلستاں کا لال ہوتا ہے
Aata Jise Tera Aks Jamaal Hota Hai
Woh Phool Sare Gulistan Ka Laal Hota Hai

رہ مجاز میں ہیں منزلیں حقیقت کی
مگر یہ اہل نظر کا خیال ہوتا ہے
Rah Majaz Mein Hein Manzilein Haqeeqat Ki
Magar Ye Ahl e Nazar Ka Khayal Hota Hai

تلاش کرتی ہے سائے تمھارے آنچل کے
چمن میں باد صبا کا یہ حال ہوتا ہے
Talash Karti Hai Saaye Tumhare Aanchal Ke
Chaman Mein Baad Saba Ka Ye Haal Hota Hai

بہار فطرت صیاد کی کہانی ہے
کہ اس کے دوش پہ پھولوں کا جال ہوتا ہے
Bahaar Fitrat Sayyad Ki Kahani Hai
Keh Uske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai

یہ واردات بھی اب دل پہ روز ہوتی ہے
مسرتوں میں بھی ہم کو ملال ہوتا ہے
Ye Wardaat Bhi Ab Dil Pe Roz Hoti Hai
Musarraton Mein Bhi Hum Ko Malaal Hota Hai

یہ بکھرےبکھرے سے گیسو تھکی تھکی آنکھیں
کہ جیسے کوئی گلستاں نڈھال ہوتا ہے
Ye Bikhre Bikhre Se Gaisoo Thaki Thaki Aankhein
Keh Jaise Koi Gulistan Nidhal Hota Hai

جواب دے نہ سکیں جس کا دو جہاں ساغر
کسی غریب کے دل کا سوال ہوتا ہے
Jawaab De Na Sakein Jis Ka Do Jahan SAGHAR
Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai

ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo