Aahat See Hoi Thi Na Koi Barg Hila Tha Main Khud Hi Sar e Manzil e Shab Cheekh Pada Tha




آہٹ سی ہوئی تھی نہ کوئی برگ ہِلا تھا
میں خود ہی سرِ منزلِ شب چیخ پڑا تھا
Aahat See Hoi Thi Na Koi Barg Hila Tha
Main Khud Hi Sar e Manzil e Shab Cheekh Pada Tha

لمحوں کی فصیلیں بھی مرے گِرد کھڑی تھیں
میں پھر بھی تجھے شہر میں آوارہ لگا تھا
Lamhon Ki Faseelein Bhi Mere Gird Khadi Thein
Main Phir Bhi Tujhe Shehar Mein Aawaara Laga Tha

تُو نے جو پکارا ہے تو بول اُٹھا ہُوں ورنہ
میں فِکر کی دہلیز پہ چُپ چاپ کھڑا تھا
Tu Ne JoPukara Hai Tou Bol Utha Hoon Warna
Main Fikar Ki Dahleez Pe Chup Chaap Khada Tha

پھیلی تھیں بھرے شہر میں تنہائی کی باتیں
شاید کوئی دیوار کے پیچھے بھی کھڑا تھا
Phaili Thein Bhare Shehar Mein Tanhaai Ki Batein
Shayed Koi Dewaar Ke Peechay Bhi Khada Tha

اب اِس کے سِوا یاد نہیں جشنِ ملاقات
اِک ماتمی جگنو مری پلکوں پہ سجا تھا
Ab Is Ke Siwa Yaad Nahi Jishan e Mulaqaat
Ik Matami Jugno Meri Palkon Pe Saja Tha
یا بارشِ سنگ اب کے مُسلسل نہ ہوئی تھی
یا پھر میں ترے شہر کی رَہ بھول گیا تھا
Ya Barish e Sang Ab Ke Musalsal Na Hoi Thi
Ya Phir Main Tere Shehar Ki Rah Bhool Gaya Tha

اک جلوہِ محجوب سے روشن تھا مرا ذہن
وجدان یہ کہتا ہے وہی میرا خدا تھا
Ik Jalwah e Mahjob Se Roshan Tha Mera Zihan
Wajdan Ye Kehta Hai Wahi Mera Khuda Tha

وِیراں نہ ہو اِس درجہ کوئی موسم گُل بھی
کہتے ہیں کسی شاخ پہ اِک پھول کھلا تھا
Weeran Na Ho Is Darja Koi Mousam Gul Bhi
Kehte Hein Kisi Shaakh Pe Ik Phool Khila Tha

اِک تُو کہ گریزاں ہی رہا مُجھ سے بہرطَور
اِک میں کہ ترے نقشِ قدم چوم رہا تھا
Ik Tu Keh Gurezan Hi Raha Mujh Se Baha-Tour
Ik Main Keh Tere Naqsh Qadam Choom Raha Tha

دیکھا نہ کسی نے بھی مری سِمت پلٹ کر
محسن میں بکھرتے ہوئے شیشوں کی صَدا تھا
Dekha Na Kisi Ne Bhi Meri Simt Palat Kar
MOHSIN Main Bikharte Hoe Sheeshon Ki Sada Hai

محسن نقوی
Mohsin Naqvi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha