Aata Jise Tera Aks Jamal Hota Hai Woh Phool Sare Gulistan Ka Laal Hota Hai



ترے غم  کو متاع  حسن  انساں کر لیا  میں نے
نگار   آدمیت  کو  غزل  خواں  کر  لیا  میں  نے
Tere Gham Ko Mata'a Husn Insan Kar Lia Main Ne
Nigar Aadmeeyat Ko Ghazal Khuwaan Kar Lia Main Ne

تڑپ  کر سوز دل کو جلوہ ساماں کر لیا میں نے
بہت  بے نور  تھی  دنیا  چراغاں کر لیا میں  نے
Tadap Kar Soz DilKo Jalwah Samaan Kar Lia Main Ne
Buhat Be-Noor Thi Dunya Charaghaan Kar Lia Main Ne

کسی  کے  اک تبسم  پر اساس  زندگی  رکھ لی
شراروں  کو نشیمن  کا  نگہباں  کر لیا  میں نے
Kisi Ke Ik Tabassum Par Par Asas Zindagi Rakh Li
Shararon Ko Nasheman Ka Nigahban Kar Lia Main Ne

اٹھا کر چوم لی ہیں چند مرجھائی ہوئی کلیاں
نہ تم  آئے تو یوں  جشن بہاراں  کر لیا میں  نے
Utha Kar Choom Li Hein Chand Murjhai Hoi Kalian
Na Tum Aaye Tou Yun Jishan Baharaan Kar Lia Main Ne

خدا  رکھے  یہ  عذر  جور  باقی تم  نہ  شرماؤ
اب  اپنی  آرزوؤں  کو پشیماں  کر لیا  میں  نے
Khuda Rakhay Ye Uzar Jor Baqi Tum Na Sharmao
Ab Apni Aarzoun Ko Pasheman Kar Lia Main Ne

ابھی تک بے کفن سی ہے مری وحشت کی عریانی
یہ کس  امید پر  گھر کو  بیاباں  کر لیا  میں نے
Abhi Tak Be-Kafan See Hai Meri Wehshat Ki Uryani
Ye Kis Umeed Par Ghar Ko Bayaban Kar Lia Main Ne

کبھی ساغر  بکف میں وجد میں آیا جو لہرا کر
تو اپنے ساتھ دنیا کو بھی رقصاں کر لیا میں نے
Kabhi SAGHAR Bakaf Main Wajad Mein Aaya Jo Lehra Kar
Tou Apne Saath Dunya Ko Bhi Raqsan Kar Lia Main Ne

ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo