Ab Mulaqaat Mein Woh Garmi e Jazbat Kahan Ab Tou Rakhne Woh Muhabbat Ka Bharam Aate Hein



جب گلستان میں بہاروں کے قدم آتے ہیں
یاد بھولے ہوئے یاروں کے کرم آتے ہیں
Jab Gulistan Mein Baharon Ke Qadam Aate Hein
Yaad Bhooly Hoe Yaaron Ke Karam Aate Hein

لوگ جس بزم سے آتے ہیں ستارے لے کر
ہم اسی بزم سے بادیدہء نم آتے ہیں
Log Jis Bazm Se Aate Hein Sitare Le Kar
Hum Isi Bazm Se Badeedah e Nam Aate Hein

میں وہ اک رند خرابات ہوں میخانے میں
میرے سجدے کے لیے ساغر جم آتے ہیں
Main Woh Ik Rind Kharabat Hoon Maikhane Mein
Mere Sajday Ke Liye Saghar Jam Aate Hein

اب ملاقات میں وہ گرمی جذبات کہاں
اب تو رکھنے وہ محبت کا بھرم آتے ہیں
Ab Mulaqaat Mein Woh Garmi e Jazbat Kahan
Ab Tou Rakhne Woh Muhabbat Ka Bharam Aate Hein

قرب ساقی کی وضاحت تو بڑی مشکل ہے
ایسے لمحے تھے جو تقدیر سے کم آتے ہیں
Qurb Saqi Ki Wazahat Tou Badi Mushkil Hai
Aise Lamhe Thay Jo Taqdeer Se Kam Aate Hein

میں بھی جنت سے نکالا ہوا ایک بت ہی تو ہوں
ذوق تخلیق تجھے کیسے ستم آتے ہیں
Main Bhi Jannat Nikala Hoa Aik Butt Hi Tou Hoon
Zouq Takhleeq Tujhe Kaise Sitam Aate Hein

چشم ساغر ہے عبادت کے تصور میں صدا
دل کے کعبے میں خیالوں کے صنم آتے ہیں
Chishm e SAGHAR Hai Ibadat Ke Tasawar Mein Sada
Dil KeKa'abay Mein Khayalon Ke Sanam Aate Hein

ساغر صدیقی

Saghar Siddiqui


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo