Dekha Unhein Jo Deedah Hairan Liye Hoe Dil Reh Gaya Jarahat Penhan Liye Hoe



دیکھا انہیں جو دیدہء حیراں لیے ہوۓ
 دل رہ گیا جراحت پنہاں لیے ہوۓ
Dekha Unhein Jo Deedah Hairan Liye Hoe
Dil Reh Gaya Jarahat Penhan Liye Hoe

 میں پھر ہوں التفات گریزاں کا منتظر
 اک بار التفات گریزاں لیے ہوۓ
Main Phir Hoon Itefat Gurezan Ka Manzar
Ik Bar Itefat Gurezan Liye Hoe

 میں چھیڑنے لگا ہوں پھر اپنی نئی غزل
 آ جاؤ پھر تبسم پنہاں لیے ہوۓ
Main Chodne Laga Hoon Phir Apni Nai Ghazal
Aa Jao Phir Tabassum Penhan Liye Hoe

 کیا بے بسی ہے کہ ترے غم کے ساتھ ساتھ
 میں اپنے دل میں ہوں غم دوراں لیے ہوۓ
Kia Be-Basi Hai Keh Tere Gham Ke Saath Saath
Main Apne Dil Mein Hoon Gham e Dauran Liye Hoe

 فرقت تری تو ایک بہانہ تھی ورنہ دوست
 دل یوں بھی ہے مرا غم پنہاں لیے یوۓ
Furqat Teri Tou Aik Bahana Thi Warna Dost
Dil Yun Bhi Hai Mera Gham Penhan Liye Hoe

 اب قلب مضطرب میں نہیں تاب درد ہجر
 اب آ بھی جاؤ درد کا درماں لیے ہوۓ
Ab Qalb Muztarib Mein Nahi Taab Dard Hijar
Ab Aa Bhi Jao Dard Ka Darman Liye Hoe

 صرف ایک شرط دیدہء بینا ہے اے کلیم
 ذرے بھی ہیں تجلی پنہاں لیے ہوۓ
Sirif Aik Shart Deedah e Beena Ae Kaleem
Zare Bhi Hein Tajali Penhan Liye Hoe

 میں نے غزل کہی ہے جگر کی زمین میں
 دل ہے مرا ندامت پنہاں لیے ہوۓ
Main Ne Ghazal Kahi Hai Jigar Ki Zameen Mein
Dil Hai Mera Nadamat Penhan Liye Hoe

 آزادؔ ذوق دید نہ ہو خام تو یہاں
 ہر آئینہ ہے جلوہء جاناں لیے ہوۓ
AZAD Zouq Deed Na Ho Kham Tou Yahan
Har Aaina Hai Jalwah e Janan Liye Hoe

جگن ناتھ آزاد
Jagan Nath Azad


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo