Raat Ko Shamma Ki Manind Pighal Kar Dekho Zindagi Kia Hai Kisi Taaq Mein Jal Kar Dekho



رات کو شمع کی مانند پگھل کر دیکھو
زندگی کیا ہے کسی طاق میں جل کر دیکھو
Raat Ko Shamma Ki Manind Pighal Kar Dekho
Zindagi Kia Hai Kisi Taaq Mein Jal Kar Dekho

اپنے چہرے کو بدلنا تو بہت مشکل ہے
دل بہل جائے گا آئینہ بدل کر دیکھو
Apne Chehre Ko Badalna Tou Buhat Mushkil Hai
Dil Behal Jayega Aaina Badal Kar Dekho

رنگ بکھریں گے تو فریاد کرے گی خوشبو
تم کسی پھول کو چٹکی سے مسل کر دیکھو
Rang Bikhreingy Tou Tou Faryaad Karegi Khushbo
Tum Kisi Phool Ko Chutki Se Masal Kar Dekho

نسیم نکہت
Naseem Nikhat


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo