Rasta Bhi Teri Simt Tha Ghar Teri Taraf Tha Ab Ja Ke Khula Mera Safar Teri Taraf Tha



رستہ بھی تری سمت تھا گھر تیری طرف تھا
اب جا کے کھلا میرا سفر تیری طرف تھا
Rasta Bhi Teri Simt Tha Ghar Teri Taraf Tha
Ab Ja Ke Khula Mera Safar Teri Taraf Tha

آنگن تھا مرا اور نہ در و بام تھے میرے
میں دھوپ میں تھا سایۂ در تیری طرف تھا
Aangan Tha Mera Aur Na Dar o Baam Thay Mere
Main Dhoop Mein Tha Saya Dar Teri Taraf Tha

محفل تجھے بس چھوڑ کے جانے کے لیے تھی
اک میں ہی فقط خاک بسر تیری طرف تھا
Mehfil Tujhe Bas Chod Ke Jane Ke Liye Thi
Ik Main Hi Faqat Khaak Basar Teri Taraf Tha

عجلت میں نہ کر ترک تعلق کی شکایت
دل تیری طرف یاد تو کر تیری طرف تھا
Ujlat Mein Na Kar Tark Ta'aluq Ki Shikayat
Dil Teri Taraf Yaad Tou Kar Teri Taraf Tha

آئینے میں اور آب رواں میں تھا ترا عکس
شاید کہ مرا دیدۂ تر تیری طرف تھا
Aainay Mein Aur Aab Rawan Mein Tha Tera Aks
Shayed Keh Mera Deedah Tar Teri Taraf Tha

تو موسم گل میں بھی گریزاں رہا مجھ سے
میں شاخ بریدہ تھا مگر تیری طرف تھا
Tu Mousam Gul Mein Bhi Gurezan Raha Mujh Se
Main Shaakh Bareedah Magar Teri Taraf Tha

میں تیرے حوالے سے رہا شہر میں معتوب
جو میرا ہنر تھا وہ ہنر تیری طرف تھا
Main Tere Hawale Se Raha Shehar Mein Ma'atoob
Jo Mera Hunar Tha Woh Hunar Teri Taraf Tha

خواجہ رضی حیدر
Khuwaja Razi Haidar


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo