Sharminda Unhein Aur Bhi Ae Mere Khuda Kar Dastar Jinhein Di Hai Unhein Sar Bhi Aata Kar

 


شرمندہ انہیں اور بھی اے میرے خدا کر
دستار جنہیں دی ہے انہیں سر بھی عطا کر
Sharminda Unhein Aur Bhi Ae Mere Khuda Kar
Dastar Jinhein Di Hai Unhein Sar Bhi Aata Kar

لوٹا ہے سدا جس نے ہمیں دوست بنا کر
ہم خوش ہیں اسی شخص سے پھر ہاتھ ملا کر
Loota Hai Sada Jis Ne Humain Dost Bana Kar
Hum Khush Hein Usi Shakhs Se Phir Haath Mila Kar

ڈر ہے کہ نہ لے جائے وہ ہم کو بھی چرا کر
ہم لائے ہیں گھر میں جسے مہمان بنا کر
Dar Hai Keh Na Le Jaye Woh Hum Ko Bhi Chura Kar
Hum Laye Hein Ghar Mein Jise Mehman Bana Kar

اک موج دبے پاؤں تعاقب میں چلی آئی
ہم خوش تھے بہت ریت کی دیوار بنا کر
Ik Mouj Dabay Pavn Ta'aqub Mein Chali Aai
Hum Khush Thay Buhat Ret Ki Deewar Bana Kar

ہم چاہیں کہ مل جائیں ہمیں ڈھیر سے موتی
سیڑھی کسی پر ہول سمندر میں لگا کر
Hum Chahein Keh Mil Jaein Humain Dher Se Moti
Seedhi Kisi Par Hol Samandar Mein Laga Kar

درکار اجالا ہے مگر سہمے ہوئے ہیں
کر دے نہ اندھیرا کوئی بارود جلا کر
Darkar Ujala Hai Magar Sehmay Hoe Hein
Kar De Na Andhera Koi Barood Jala Kar

لے اس نے ترا کاسۂ جاں توڑ ہی ڈالا
جا کوچۂ قاتل میں قتیلؔ اور صدا کر
Le Us Ne Tera Kasaa e Jaan Tod Hi Dala
Ja Koocha e Qatil Mein QATEEL Aur Sada Kar

قتیل شفائی
Qateel Shifai


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo