Aainay Mein Dekhta Hoon Kon Tha Kia Ho Gaya Kia Kabhi Socha Tha Main Ne Aaj Jaisa Ho Gaya
آئینے میں دیکھتا ہوں کون تھا کیا ہو گیا
کیا کبھی سوچا تھا میں نے آج جیسا ہو گیا
Aainay Mein Dekhta Hoon Kon Tha Kia Ho Gaya
Kia Kabhi Socha Tha Main Ne Aaj Jaisa Ho Gaya
زندگی کرنا مجھے بھی آ گیا تیرے بغیر
لیکن اتنا تو ہوا تو بھی کسی کا ہو گیا
Zindagi Karna Mujhe Bhi Aa Gaya Tere Baghair
Lekin Itna Tou Hoa Tu Bhi Kisi Ka Ho Gaya
خاک میں ملکر زمانے کو تری پہچان دی
چلمنوں میں تُو رہا اور میں تماشا ہو گیا
Khaak Mein Mil Kar Zamane Ko Teri Pehchan Di
Chalmanon Mein Tu Raha Aur Main Tamasha Ho Gaya
اب بھی گنجائش ہے کوئی پُرسشِ اعمال کی
میرا چاہا نہ ہوا جو تُو نے. چاہا ہو گیا
Ab Bhi Gunjaesh Hai Koi Pursish e Aamaal Ki
Mera Chaha Na Hoa Jo Tu Ne Chaha Ho Gaya
ہم نے سمجھا تھا فِراقِ یار ہے مرہم مگر
عشق کا یہ زخم ارشد اور گہرا ہو گیا
Hum Ne Samjha Tha Firaq e Yaar Hai Marham Magar
Ishq Ka Ye Zakham ARSHAD Aur Gehra Ho Gaya
مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig
آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A
مارچ ١٣، ٢٠٢٢
Comments
Post a Comment