Barh Jaeingy Yun Fasly Socha Bhi Nahi Tha Reshta Abhi Ik Shakhs Se Toota Bhi Nahi Tha



لمحۂ فِراق
Lamha e Firaq

بڑھ جائیں گے یُوں فاصلے سوچا بھی نہیں تھا
رشتہ اَبھی اِک شخص سے ٹُوٹا بھی نہیں تھا
Barh Jaeingy Yun Fasly Socha Bhi Nahi Tha
Reshta Abhi Ik Shakhs Se Toota Bhi Nahi Tha

لالی وہ لبوں سے ابھی اُتری بھی نہیں تھی
اِک رنگِ حِنا ہاتھوں سے چُھوٹا بھی نہیں تھا
Lali Woh Labon Se Abhi Utri Bhi Nahi Thi
Ik Rang e Hina Hathon Se Choota Bhi Nahi Tha

واقف تھے سبھی سے مگر اک ہِجر کا موسم
پتّوں کو بِکھرتے ہوۓ  دیکھا بھی نہیں تھا
Waqif Thay Sabhi Se Magar Ik Hijar Ka Mousam
Patton Ko Bikhartay Hoe Dekha Bhi Nahi Tha

اس بار تو کاٹے ہیں سبھی رابطے اُس نے
اس طرح کبھی مجھ سے وہ رُوٹھا بھی نہیں تھا
Is Bar Tou Katay Hain Sabhi Rabtay Us Ne
Is Tarah Kabhi Mujh Se Woh Rootha Bhi Nahi Tha

لمحوں میں بچھڑنے کا کیا فیصلہ ارشد
روکا بھی نہیں اُس نے میں ٹہرا بھی نہیں تھا
Lamhon Mein Bichadne Ka Kia Faisla ARSHAD
Roka Bhi Nahi Us Ne Main Thehra Bhi Nahi Tha

مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig
آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A
مارچ ٢١، ٢٠٢٢

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo