Batein Sunein Jo Husn Ki Qissay Ajeeb Se Hum Ne Bhi Rasm o Raah Barhai Raqeeb Se



باتیں
Batein

باتیں سُنیں جو حُسن کی قصّے عجیب سے
ہم نے بھی رسم و راہ بڑھائی رقیب سے
Batein Sunein Jo Husn Ki Qissay Ajeeb Se
Hum Ne Bhi Rasm o Raah Barhai Raqeeb Se

یہ کیسا مرض تھا مُجھے اندر سے کھا گیا
تشخیص ہو سکی نہ کسی بھی طبیب سے
Ya Kaise Maraz Tha Mujhe Andar Se Kha Gaya
Tashkhees HoSaki Na Kisi Na Kisi Bhi Tabeeb Se

سب سے ملے چمن میں نہ کی ہم سے گفتگو
باتیں گُلوں سے کیں تو کبھی عندلیب سے
Sab Se Mily Chaman Mein Na Ki Hum Se Guftgo
Batein Gulon Se Kein Tou Kabhi Andleeb Se

رہتے ہو دل میں تم سے مناجات کیا کریں
سُنتے نہیں ہو بات جب اتنے قریب سے
Rehte Ho Dil Mein Tum Se Manajat Kia Karein
Sunte Nahi Ho Baat Jab Itne Qareeb Se

ارشد بہت حسین ہے دُنیا پہ کیا کریں
ہٹتی نہیں نگاہ جو رُوۓ حبیب سے
ARSHAD Buhat Haseen Hai Dunya Pe Kia Karein
Hat'ti Nahi Nigaah Jo Roo e Habeeb Se

مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A
اپریل ١، ٢٠٢٢


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo