Chalti Rehti Hai Musalsal Zindagi Thakti Nahi Ye Kisi Ke Aane Ke Aane Jane Se Kabhi Rukti Hai



چلتی رہتی ہے مُسلسل زندگی تھکتی نہیں
یہ کسی کے آنے جانے سے کبھی رُکتی نہیں
Chalti Rehti Hai Musalsal Zindagi Thakti Nahi
Ye Kisi Ke Aane Ke Aane Jane Se Kabhi Rukti Hai

دوسری بار اُسکو دیکھیں ہم تو شاید ہو گناہ
اُس کے چہرے پر نظر پڑ جائے تو ہٹتی نہیں
Dosri Bar Usko Dekhein Hum Tou Shayed Ho Gunah
Uske Chehre Par Nazar Pad Jaye Tou Hat'ti Nahi

دیکھتے رہتے ہیں اُنکو ٹکٹکی سی باندھ کر
دیکھکر جن کو طبعیت ہی کبھی بھرتی نہیں
Dekhte Rehte Hain Unko Tiktiky See Bandh Kar
Dekh Kar Jin Ko Tabeea'at Hi Kabhi Bharti Nahi

تجھ کو پایا ہے گنوا کر ہم نے اپنے آپ کو
مفت اس دنیا میں کوئی چیز بھی ملتی نہیں
Tujh Ko Paaya Hai Ganwa Kar Hum Ne Apne Aapko
Muft Is Dunya Mein Koi Cheez Bhi Milti Nahi

دیکھئے مال و متاع پر یوں گھمنڈ نہ کیجئے
عارضی ہے مِلکیت یاں کوئی شے اپنی نہیں
Dekhiye Maal o Mata'a Par Yun Ghamand Na Kijiye
Aarzi Hai Malkeeyat Yaan Koi Shay Apni Nahi

فاصلے کچھ اور کرتے ہیں اضافہ پیار میں
سچّی ہوتی ہے محبّت تو کبھی مِٹتی نہیں
Faslay Kuch Aur Karte Hain Izafa Piyar Mein
Sachi Hoti Hai Muhabbat Tou Kabhi Mit'ti Nahi

لوٹ تو آۓ ہو ارشد اُس حسیں کے شہر میں
مال و جاں کی یاں سُنا ہے کوئی گارنٹی نہیں
Lot Tou Aaye Ho ARSHAD Us Haseen Ke Shehar Mein
Maal o Jaan Ki Yaan Suna Hai Koi Guarantee Nahi

مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A
مارچ ١٩، ٢٠٢

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha