Dil Tha Keh Khush Khayal Tujhe Dekh Kar Hoa Ye Shehr Be-Misal Tujhe Dekh Kar Hoa



دل تھا کہ خوش خیال تجھے دیکھ کر ہوا
یہ شہر بے مثال تجھے دیکھ کر ہوا
Dil Tha Keh Khush Khayal Tujhe Dekh Kar Hoa
Ye Shehr Be-Misal Tujhe Dekh Kar Hoa

اپنے خلاف شہر کے اندھے ہجوم میں
دل کو بہت ملال تجھے دیکھ کر ہوا
Apne Khilaaf Shehar Ke Andhay Hujoom Mein
Dil Ko Buhat Malaal Tujhe Dekh Kar Hoa

طول شب فراق تری خیر ہو کہ دل
آمادۂ وصال تجھے دیکھ کر ہوا
Tool Shab Firaq Teri Khair Ho Keh Dil
Aamadah Wisal Tujhe Dekh Kar Hoa

یہ ہم ہی جانتے ہیں جدائی کے موڑ پر
اس دل کا جو بھی حال تجھے دیکھ کر ہوا
Ye Hum Hi Jante Hein Judaai Ke Mod Par
Is Dil Ka Jo Bhi Haal Tujhe Dekh Kar Hoa

آئی نہ تھی کبھی مرے لفظوں میں روشنی
اور مجھ سے یہ کمال تجھے دیکھ کر ہوا
Aai Na Thi Kabhi Mere Lafzon Mein Roshni
Aur Mujh Se Ye Kamaal Tujhe Dekh Kar Hoa

بچھڑے تو جیسے ذہن معطل سا ہو گیا
شہر سخن بحال تجھے دیکھ کر ہوا
Bichday Tou Jaise Zehan Mua'atal Sa Ho Gaya
Shehar Sukhan Bahaal Tujhe Dekh Kar Hoa

پھر لوگ آ گئے مرا ماضی کریدنے
پھر مجھ سے اک سوال تجھے دیکھ کر ہوا
Phir Log Aa Gaye Mera Mazi Kuredne
Phir Mujh Se Ik Sawal Tujhe Dekh Kar Hoa

نوشی گیلانی
Noshi Gilani

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai