Hai Shayed Unko Tazabzab Ya Aitbar Nahi Wagarna Junbush Aijab Mein Tou Aar Nahi



ہے شاید ان کو تذبذب یا اعتبار نہیں
وگرنہ جُنبشِ ایجاب میں تو عار نہیں
Hai Shayed Unko Tazabzab Ya Aitbar Nahi
Wagarna Junbush Aijab Mein Tou Aar Nahi

کیا ہے غور بہت اپنی خستہ حالی پر
کسی معاملے میں اپنے اختیار نہیں
Kia Hai Ghor Buhat Apni Khasta Hali Par
Kisi Mua'amly Mein Apne Ikhteyar Nahi

عجیب بات ہے دلکش حسین ہے دنیا
عجیب تر یہ ہے اس میں کبھی قرار نہیں
Ajeeb Baat Hai Dilkash Haseen Hai Dunya
Ajeeb Tar Ye Hai Is Mein Kabhi Qarar Nahi

تمہاری آنکھوں میں کیوں اسقدر اُداسی ہے
چلو یہ مان لیں تم کو کسی سے پیار نہیں
Tumhari Aankhon Mein Kion Isqadar Udasi Hai
Chalo Ye Man Lein Tum Ko Kisi Se Piyar Nahi

جُنوں کا کیسے ہو حُلیے سے میرے اندازہ
گریباں بند ہے دامن بھی تارتار نہیں
Junoon Ka Kaise Ho Hulye Se Mere Andazah
Gereban Band Hai Daman Bhi Tar Tar Nahi

نکلنا قید سے اس زلفِ کی نہیں ممکن
عقوبتوں سے ترے درد کی فرار نہیں
Nikalna Qaid Se Us Zulf Ki Nahi Mumkin
A'aqoobaton Se Tere Dard Ki Farar Nahi

دلوں کو جیت نہیں سکتیں نفرتیں ارشد
محبتوں میں کبھی آدمی کی ہار نہیں
Dilon Ko Jeet Nahi Saktein Nafratein ARSHAD
Muhabbaton Mein Kabhi Aadmi Ki Haar Nahi

مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A
مارچ ١٠، ٢٠٢٢


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo