Kehkeshan Dar Kehkeshan Taron Ko Bikhrana Tera Phir Kahein Ae Husn Zulfon Ka Ulajh Jana Tera



کہکشاں در کہکشاں تاروں کو بکھرانا ترا
پھر کہیں اے حُسن زُلفوں کا اُلجھ جانا ترا
Kehkeshan Dar Kehkeshan Taron Ko Bikhrana Tera
Phir Kahein Ae Husn Zulfon Ka Ulajh Jana Tera

تیری باہوں میں سمٹنا ہے یہی جنّت میری
اور جہنّم کیا ہے مجھ سے دُور ہو جانا ترا
Teri Bahon Mein Simatna Hai Yahi Janat Meri
Aur Jahanam Kia Hai Mujh Se Door Ho Jana Tera

یہ جُنونِ عشق لے آیا مجھے دَر تک ترے
عقل نے لیکن کبھی رستہ نہ پہچانا ترے
Ye Junoon e Ishq Le Aaya Mujhe Dar Tak Tere
Aqal Ne Lekin Kabhi Rasta Na Pehchana Tera

امتحاں کیسا ہے یہ اے ممتحن سمجھا ذرا
دیکھ کر تکلیف میں مُجھ کو تڑپ جانا ترا
Imtehan Kaise Hai Ye Ae Mumtahin Samjha Zara
Dekh Kar Takleef Mein Mujh Ko Tadap Jana Tera

رنج تو ہو گا اسے بھی کب سے خالی ہے یہ گھر
چاہتا ہو وہ بھی ارشد لوٹ کر آنا ترا
Ranj Tou Hoga Usay Bhi Kab Se Khali Hai Ye Ghar
Chahta Ho Woh Bhi ARSHAD Laot Kar Aana Tera

مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A
مارچ ٢٠٢٢


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai