Khuwabon Se Mavra Kabhi Dekha Nahi Usay Woh Mujh Ko Aur Main Kabhi Bhoola Nahi Usay



احوالِ دل
Ahwal e Dil

خوابوں سے ماورا  کبھی دیکھا نہیں اُسے
وہ مُجھ کو اور میں کبھی بُھولا نہیں اُسے
Khuwabon Se Mavra Kabhi Dekha Nahi Usay
Woh Mujh Ko Aur Main Kabhi Bhoola Nahi Usay

موقع نہیں ہے کوئی کہ آیا نہ ہو وہ یاد
لمحہ وہ کونسا ہے کہ سوچا نہیں اُسے
Mouqa Nahi Hai Koi Keh Aaya Na Ho Woh Yaad
Lamha Woh Konsa Hai Keh Socha Nahi Usay

اُس نے تو بُھول کر مجھے اپنا نہیں کہا
اور میں کہ اجنبی کبھی سمجھا نہیں اُسے
Usne Tou Bhool Kar Mujhe Apna Nahi Kaha
Aur Main Keh Ajnabi Kabhi Samjha Nahi Usay

بے غرض تھیں وہ نُور سے نِتھری محبتیں
ہم نے تو دُعاؤں میں بھی مانگا نہیں اُسے
Be-Gharz Thein Woh Noor Se Nathri Muhabbatein
Hum Ne Tou Duaoun Mein Bhi Manga Nahi Usay

مُدّت سے  میرا ذکر گوارا نہیں کیا
میں نے بھی نام لے کے پکارا نہیں اُسے
Muddat Se Mera Zikar Gawara Nahi Kia
Main Ne Bhi Nam Le Ke Pukara Nahi Usay

کہنا تو بہت کچھ تھا ہمیں بھی صفائی میں
ٹہرا نہیں وہ ہم نے بھی روکا نہیں اُسے
Kehna Tou Buhat Kuch Tha Hamain Bhi Safai Mein
Thehra Nahi Woh Hum Ne Bhi Roka Nahi Usay

شاید وہ ہم کو اور کسی یُگ میں پھر ملے
ارشد کہ اس جنم  میں تو پایا نہیں اُسے
Shayed Woh Hum Ko Aur Kisi Yug Mein Phir Mily
ARSHAD Keh Is Janam Mein Tou Paaya Nahi Usay

مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A
مارچ ١٦، ٢٠٢٢


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha