Koi Titli Hai Na Jugno Aah Sham e Be-Kasi Aaj Dil Mein Nastran Ki Shakh Phir Chubhne Lagi



کوئی تتلی ہے نہ جگنو آہ شامِ بے کسی
آج دل میں نسترن کی شاخ پھر چبھنے لگی
Koi Titli Hai Na Jugno Aah Sham e Be-Kasi
Aaj Dil Mein Nastran Ki Shakh Phir Chubhne Lagi

تونے کیا توڑا گلستاں سے وفا کا ایک پھول
ہر کلی ہے غیر محرم ہر شگوفہ اجنبی
Tu Ne Kia Toda Gulistan Se Wafa Ka Aik Phool
Har Kali Hai Ghair Muhrim Har Shagofah Ajnabi

بے ارادہ چل رہا ہوں زندگی کی راہ پر
میرے مسلک میں نہیں ہے کاروبارِ رہبری
Hai Iradah Chal Raha Hoon Zindagi Ki Rah Par
Mere Maslak Mein Nahi Hai Karobar e Rahbari

جس میں کچھ انسان کی توقیر کے احکام تھے
وہ شریعت معبدوں کے زیرِ سایہ سو گئی
Jis Mein Kuch Insan Ki Touqeer Ke Ahkam Thay
Woh Shareea'at Ma'abadon Ke Zer e Saya So Gai

آگئی بازار میں بکنے خدا کی عظمتیں
جی اٹھی ہیں خواہشیں اور مر گیا ہے آدمی
Aa Gai Bazar Mein Bikny Khuda Ki Azmatein
Jee Uthi Hain Khuwahishein Aur Mar Gaya Hai Aadmi

میں شعاعوں میں پگھل جاوؐں مری فطرت نہیں
وہ ستارہ ہوں کہ جس کو ڈھونڈتی ہے روشنی
Main Shoa'aoun Mein Pighal Jaoun Meri Fitrat Nahi
Woh Sitara Hoon Keh Jis Ko Dhoondti Hai Roshni

اور کتنی دور ہیں ساغر عدم کی منزلیں
زندگی سے پوچھ لوں گا راستے میں گر مِلی
Aur Kitni Door Hain SAGHAR Adam Ki Manzilein
Zindagi Se Pooch Loonga Rastay Mein Gar Mili

ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha