Lazim Nahi Keh Zeest Katay Humsafar Ke Saath Yaadon Ke Qafly Hain Buhat Rahguzar Ke Saath



لازم نہیں کہ زیست کٹے ہمسفَر کے ساتھ
یادوں کے قافلے ہیں بہت رہگزر کے ساتھ
Lazim Nahi Keh Zeest Katay Humsafar Ke Saath
Yaadon Ke Qafly Hain Buhat Rahguzar Ke Saath

وہ حالِ دل بھی جان گئے کچھ سنے بغیر
ہم مسکرا دیئے تھے یونہی چشمِ تر کے ساتھ
Woh Haal e Dil Bhi Jan Gaye Kuch Sunay Baghair
Hum Muskura Diye Thay Yun Hi Chashm e Tar Ke Saath

شائستہ مفتی صاحبہ کا شعر
Shaista Mufti Sahiba Ka Shair

محور تھا میری زیست کا شکوے تھے اُسی کو
رشتہ محبّتّوں کا تھا اک بے خبر کے ساتھ
Mahwar Tha Meri Zeest Ka Shikway Thay Usi Ko
Reshta Muhabbaton Ka Tha Ik Be-Khar Ke Saath

حالات کی بے رحم آندھیوں کو کیا پتہ
وابستہ کتنے خواب تھے اک کچّے گھر کے ساتھ
Halaat Ki Be-Raham Aandhion Ko Kia Pata
Wabasta Kitne Khuwaab Thay Ik Kachay Ghar Ke Saath

تھک کر میں گھونسلے سے بہت پہلے گر گیا
اتنی ہی بس اُڑان تھی ان بال و پر کے ساتھ
Thak Kar Main Ghonslay Se Buhat Pehla Gir Gaya
Itni Hi Bas Udan Thi In Baal o Par Ke Saath
محنت کا پھل ضرور ملا کرتا ہے مگر
قسمت بھی اچھی چاہیے ارشد ہُنَر کے ساتھ
Mehnat Ka Phal Zaroor Mila Karta Hai Magar
Qismat Bhi Achi Chahiye ARSHAD Hunar Ke Saath

مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A
مارچ ٢٠٢٢


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo