Manzil Ki Aarzoo Thi Isi Rahguzar Ke Baad Darpaish Hai nIk Aur Safar Is Safar Ke Baad



منزل کی آرزو تھی اِسیِ رہگزر کے بعد
درپیش ہے اک اور سفر اِس سفر کے بعد
Manzil Ki Aarzoo Thi Isi Rahguzar Ke Baad
Darpaish Hai nIk Aur Safar Is Safar Ke Baad

کہنی تھیں دل کی باتیں بہت سی اُسے مگر
آیا نہیں میں ہوش میں پہلی نظر کے بعد
Kehni Thein Dil Ki Batein Buhat See Usay Magar
Aaya Nahi Main Hosh Mein Pehli Nazar Ke Baad

تجھ سے گُریز پائی کی جُرات کہاں مجھے
صحرا ہے ایک حدّ نظر تیرے گھر کے بعد
Tujh Se Gurez Paai Ki Jurat Kahan Mujhe
Sahra Hai Aik Had Nazar Tere Ghar Ke Baad

گُزری شبِ حیات تو ہم کو مِلا وہ بُت
جائز نہیں ہے سجدہ نمازِ فجَر کے بعد
Guzri Shab e Hayat Tou Hum Ko Mila Woh Butt
Jaez Nahi Hai Sajdah Namaz e Fajar Ke Baad

ارشد اب اور اُس سے شکایت نہیں ہمیں
اقرار کر لیا ہے اگر اور مگَر کے بعد
ARSHAD Ab Aur Us Se Shikayat Nahi Hamain
Iqrar Kar Lia Hai Agar Aur Magar Ke Baad

مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A
مارچ ٢٦، ٢٠٢٢

نوٹ. عربی میں فجر ج پر زبر کے ساتھ پڑھا جاسکتا ہے


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai