Namood o Nam Ko Zikr e Khuda Nahi Karte Kisi Amal Mein Kabhi Hum Ria Nahi Karte



نمود و نام کو ذکرِ خدا نہیں کرتے
کسی عمل میں کبھی ہم ریا نہیں کرتے
Namood o Nam Ko Zikr e Khuda Nahi Karte
Kisi Amal Mein Kabhi Hum Ria Nahi Karte

معاف کرنا ہی شیوہ ہے ہم فقیروں کا
کسی کے حق میں کبھی بد دعا نہیں کرتے
Mua'af Karna Hi Shaiwah Hai Hum Faqeeron Ka
Kisi Ke Haq Mein Kabhi Bad Dua Nahi Karte

خیال کرتے ہیں شاید پلٹ کے آۓ وہ
جدائیوں کی کبھی انتہا نہیں کرتے
Khayal Karte Hein Shayed Palat Ke Aaye Woh
Judaaion Ki Kabhi Inteha Nahi Karte

بھروسہ ہم کو نہیں اپنے آپ پر شاہد
وصالِ یار کی اب ہم دعا  نہیں کرتے
Bharosa Hum Ko Nahi Apne Aap Par Shayed
Wisal Yaar Ki Ab Hum Dua Nahi Karte

نجانے کیا ہے کشش اسکی نیلی آنکھوں میں
بلانڈ* ہم نے سُنا ہے وفا نہیں کرتے
*Blonde
Najane Kia Hai Kashish Uski Neeli Aankhon Mein
Blonde Hum Ne Suna Hai Wafa Nahi Karte

اسی ٹرین میں ڈھونڈا ہے بارہا اسکو
بچھڑ گئے جو مسافر ملا نہیں کرتے
Usi Train Mein Dhoonda Hai Barha Usko
Bichad Gaye Jo Musafir Mila Nahi Karte

بُرّا نہیں ہے حسیں خواب دیکھنا ارشد
مگر یوں خوابوں میں جا کر رہا نہیں کرتے
Bura Nahi Hai Haseen Khuwaab Dekhna ARSHAD
Magar Yun Khuwabon Mein Ja Kar Raha Nahi Karte

مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo