Pehle Jo Meharban Thay Woh Saro Saman Nahi Hum Jis Se Aashna Thay Ye Woh Chaman Nahi



پہلے جو مہرباں تھے وہ سَرو سمَن نہیں
ہم جس سے آشنا تھے یہ وہ چمَن نہیں
Pehle Jo Meharban Thay Woh Saro Saman Nahi
Hum Jis Se Aashna Thay Ye Woh Chaman Nahi
جینا بھی ہو گیا ہےتمھارے بنا محال
تم میری محبت ہو میرا آپشن نہیں
Jeena Bhi Ho Gaya Hai Tumhare Bina Mahaal
Tum Meri Muhabbat Ho Mera Option Nahi

دیکھا ہے ایک بُت میں خدا کو قریب َسے
جب سے صنم تراش ہوں میں بُت شِکَن نہیں
Dekha Hai Aik Butt Mein Khuda Ko Qareeb Se
Jab Se Sanam Tarash Hoon Main Butt-Shikan Nahi

پتّھر کِدھر کِدھر سے لگے جان و جسم پر
زخمی کہاں کہاں سے یہ رُوح و بدَن نہیں
Pathar Kidhar Kidhar Se Lagay Jan o Jism Par
Zakhmi Kaha Kahan Se Ye Rooh o Badan Nahi

ارشد اب اور کیسے گُزارا بھی ہو یہاں
نقدِ وفا کا اس کے شہر میں چلَن نہیں
ARSHAD Ab Aur Kaise Guzara Bhi Ho Yahan
Naqad Wafa Ka Uske Shehar Mein Chalan Nahi

مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A
فروری ٢٠٢٢


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai