Rah Pur Shor Se Manzil e Dar Se Hum Ulajhte Rahe Gaisooye Yaar Se



راہِ پر شور سے منزلِ دار سے
ہم اُلجھتے رہے گیسوئے یار سے
Rah Pur Shor Se Manzil e Dar Se
Hum Ulajhte Rahe Gaisooye Yaar Se

میرا ہر نقشِ پا خضر کی داستاں
کوئی پوچھے مرے عزمِ بیدار سے
Mera Har Naqsh e Paa Khizar Ki Dastan
Koi Poochay Mere Azam e Bedar Se

ہوسکے آپ عنواں کوئی دیجئے
داستاں بن گئی حرفِ اظہار سے
Ho Saky Aap Unwan Koi Dijiye
Dastan Ban Gai Harf e Izhar Se

یوں بھی ہوتا ہے شامِ وفا دوستو
ٹوٹ جاتا ہے دل انکے اقرار سے
Yun Bhi Hota Hai Sham e Wafa Dosto
Toot Jata Hai Dil Unke Iqrar Se

چشمِ ساقی تری عمر ہو جاوداں
پی گئے زہر بھی تیرے اصرار سے
Chashm e Saqi Teri Umar Ho Javedaan
Pee Gaye Zehar Bhi Tere Israr Se

درویش ساغرؔ نے تکیہ بنایا انہیں
جتنے پتھر گرے ان کی دیوار سے
Darwaish SAGHAR Ne Takiya Banaya Unhein
Jitnay Pathar Gire Unki Deewaar Se

ساغرؔ صدیقی
Saghar Siddiqui


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha