Ye Be-Yaqeeni Agar Hum Badal Nahi Sakty Tu Ziyada Door Talak Saath Chal Nahi Sakty



یہ بے یقینی اگر ہم بدل نہیں سکتے
تو زیادہ دُور تلک ساتھ چل نہیں سکتے
Ye Be-Yaqeeni Agar Hum Badal Nahi Sakty
Tu Ziyada Door Talak Saath Chal Nahi Sakty

حقیقتیں تو سبھی خواب بَن ہی جاتی ہیں
تمام خواب حقیقت میں ڈھل نہیں سکتے
Haqeeqatein Tou Sabhi Khuwaab Ban Hi Jati Hein
Tamam Khuwaab Haqeeqat Mein Dhal Nahi Sakty

چمَن میں پُھول کِھلانے کو آبیاری کی
اب اپنے ہاتھوں سے کلیاں مسَل نہیں َسکتے
Chaman Mein Phool Khilane Ko Aabyari Ki
Ab Apne Haathon Se Kaliyan Masal Nahi Sakty

کہ مستقل ہی رہے گا فراق کا صدمہ
نکلنا چاہیں بھی اِس سے نکل نہیں سکتے
Keh Mustaqil Hi Rahe Ga Firaq Ka Sadma
Nikalna Chahein Bhi Is Se Nikal Nahi Sakty

جدائیآں ہی لکھی تھیں نصیب میں شاید
لکیریں ہاتھوں کی ارشد بدل نہیں سکتے
Judaiyan Hi Lekhi Thein Naseeb Mein Shayed
Lakeerein Haathon Ki ARSHAD Badal Nahi Sakty

مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A
مارچ ٣، ٢٠٢٢


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo