Zakham Dil Par Bahar Dekha Hai Kia Ajab Lala Zar Dekha Hai



زخم دل پر بہار دیکھا ہے
کیا عجب لالہ زار دیکھا ہے
Zakham Dil Par Bahar Dekha Hai
Kia Ajab Lala Zar Dekha Hai

جن کے دامن میں کچھ نہیں ہوتا
ان کے سینوں میں پیار دیکھا ہے
Jinke Daman Mein Kuch Nahi Hota
Un Ke Seenon Mein Piyar Dekha Hai

خاک اڑتی ہے تیری گلیوں میں
زندگی کا وقار دیکھا ہے
Khaak Udti Hai Teri Galion Mein
Zindagi Ka Waqar Dekha Hai

تشنگی ہے صدف کے ہونٹوں پر
گل کا سینہ فگار دیکھا ہے
Tishnagi Hai Sadaf Ke Honton Par
Gul Ka Seenah Fagar Dekha Hai

ساقیا! اہتمام بادہ کر
وقت کو سوگوار دیکھا ہے
Saqiya ! Ihtemam Badah Kar
Waqt Ko Sogwar Dekha Hai

جذبۂ غم کی خیر ہو ساغرؔ
حسرتوں پر نکھار دیکھا ہے
Jazba e Gham Ki Khair Ho SAGHAR
Hasraton Par Nikhar Dekha Hai

ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo