Kuch Is Tarah Se Main Khud Ko Sanwar Laiti Hoon Tumhare Wasal Ka Naqshah Utar Laiti Hoon
کچھ اس طرح سے میں خود کو سنوار لیتی ہوں
تمہارے وصل کا نقشہ اتار لیتی ہوں
Kuch Is Tarah Se Main Khud Ko Sanwar Laiti Hoon
Tumhare Wasal Ka Naqshah Utar Laiti Hoon
مجھے نصیب ہوٸی جب سے یہ وفا تیری
خزاں کے بدلے میں فصل بہار لیتی ہوں
Mujhe Naseeb Hoi Jab Se Ye Wafa Teri
Khizan Ke Badly Mein Fasle Bahar Laiti Hoon
مہک سے جاتے ہیں تنہائیوں کے سب لمحے
میں گزرے وقت کو جب بھی پکار لیتی ہوں
Mehik Se Jate Hein Tanhaaion Ke Sab Lamhe
Main Guzre Waqt Ko Jab Bhi Pukar Laiti Hoon
تمہارا ذکر ھے ذکر ِ کمال ِ رنگ وفا
رخ حیات کو اس سے نکھار لیتی ہوں
Tumhare Zikar Hai Zikar , Kamal , Rang Wafa
Rukh e Hayat Ko Us Se Nikhar Laiti Hoon
میں جب بھی دیکھتی ہوں تیری ضوفشاں صورت
میں تھام تھام دل ِ بے قرار لیتی ہوں
Main Jab Bhi Dekhti Hoon Teri Zofshan Soorat
Main Tham Tham Dil Be-Qarar Laiti Hoon
دیار دل کے میں چاروں طرف عقیدت سے
میں کھینچ نام کا تیرے حصار لیتی ہوں
Diyar e Dil Ke Main Charon Taraf Aqeedat Se
Main Khench Nam Ka Tere Hisar Laiti Hoon
شاعرہ تبسم بخاری
Poetess:Tabassum Bukhari
Comments
Post a Comment