Main Bistar Ko Waise Rehne Dongi Jaisa Woh Chorh Kar Gaya Hai



میں بستر کو ویسے رھنے دونگی
جیسا وہ چھوڑ کر گیا ھے
Main Bistar Ko Waise Rehne Dongi
Jaisa Woh Chorh Kar Gaya Hai

( بے ترتیب , شکن اَلودہ اور سلوٹوں سے بھرا ھوا )
(Be-Tarteeb , Shikan Aaloodah Aur Salwaton Se Bhara Hoa)
تاکہ اس کے جسم کا نقشہ بستر پر بنا رھے
کل تک میں غسل نہیں کرونگی
Takeh Uske Jisam KaNaqsha Bistar Par Bana Rahe
Kal Tak Main Ghusal Nahi Karngi

کوئی لباس نہیں پہنوں گی بال نہیں بناؤں گی
مجھے ڈر ھے اس کے بدن کا لمس ختم نہ ھوجائے
Koi Libas Nahi Pehnongi Baal Nahi Banaoungi
Mujhe Dar Hai Uske Badan Ka Lams Khatam Na Ho Jaye

میں آج کھانا نہیں کھاؤنگی
نہ شام کو غازہ ملوں گی
Main Aaj Khana Nahi Khaoungi
Na Shaam Ko Ghazah Milongi

نہ ہونٹوں پر سرخی لگاؤنگی
کہیں اس کے بوسے کا اثر ختم نہ ھوجائے
Na Honton Par Sukhi Lagaoungi
Kahein Uske Bosay Ka Asar Khatam Na Ho Jaye

میں کھڑکیاں , دروازے بند رکھوں گی
اس ڈر سے کہ کہیں اس کی یادیں
ھوا میں تحلیل نہ ھوجائیں۔
Main Khikiyan , Darwazay Band Rakhongi
Is Dar Se Keh Kahein Uski Yadein
Hawa Mein Tahleel Na Ho Jaein

  (سال قبل از مسیح کی ایک یونانی شاعرہ "بلیٹس" کی نظم 700)
700 Saal Qabal Az Maseeh Ki Aik Unani Shaira "Blates" Ki Nazam


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha