Mehfilein Lut Gaein Jazbaat Ne Dum Tod Diya Saaz Khamosh Hein Naghmaat Ne Dum Tod Diya



محفلیں لٹ گئیں جذبات نے دم توڑ دیا
ساز خاموش ہیں نغمات نے دم توڑ دیا
Mehfilein Lut Gaein Jazbaat Ne Dum Tod Diya
Saaz Khamosh Hein Naghmaat Ne Dum Tod Diya

ہر مسرت غم دیروز کا عنوان بنی
وقت کی گود میں لمحات نے دم توڑ دیا
Har Musarat Gham Deroz Ka Unwaan Bani
Waqt Ki Goud Mein Lamhaat Ne Dum Tod Diya

ان گنت محفلیں محروم چراغاں ہیں ابھی
کون کہتا ہے کہ ظلمات نے دم توڑ دیا
Angint Mehfilein Mahroom Charaghan Hein Abhi
Kon Kehta Hai Keh Zulmaat Ne Dum Tod Diya

آج پھر بجھ گئے جل جل کے امیدوں کے چراغ
آج پھر تاروں بھری رات نے دم توڑ دیا
Aaj Phir Bujh Gaye Jal Jal Ke Umeedon Ke Charaagh
Aaj Phir Taron Bhari Raat Ne Dum Tod Diya

جن سے افسانۂ ہستی میں تسلسل تھا کبھی
ان محبت کی روایات نے دم توڑ دیا
Jin Se Afsanah e Hasti Mein Tasalsul Tha Kabhi
Un Muhabbat Ki Rawayaat Ne Dum Tod Diya

جھلملاتے ہوئے اشکوں کی لڑی ٹوٹ گئی
جگمگاتی ہوئی برسات نے دم توڑ دیا
Jhilmilatay Hoe Ashkon Ki Ladi Toot Gayi
Jagmagati Hoi Barsaat Ne Dum Tod Diya
ہائے آداب محبت کے تقاضے ساغرؔ
لب ہلے اور شکایات نے دم توڑ دیا
Haaye Aadaab e Muhabbat Ke Taqazay SAGHAR
Lab Hilay Aur Shikayaat Ne Dum Tod Diya

ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo