Na Woh Mehfil , Na Woh Saqi , Na Woh Sagar ,Na Woh Badah Humari Zindagi Ab Reh Gai Hai Be-Mazah Ho Kar



نہ وہ محفل، نہ وہ ساقی، نہ وہ ساگر، نہ وہ بادہ
ہماری زندگی اب رہ گئی ہے بے مزہ ہو کر
Na Woh Mehfil , Na Woh Saqi , Na Woh Sagar ,Na Woh Badah
Humari Zindagi Ab Reh Gai Hai Be-Mazah Ho Kar

معاذاللّه! یہ عالم بتوں کی خود نمائی کا
کہ جیسے چھا ہی جائیں گے خدائی پر، خدا ہو کر
Ma'az ullah! Ye Aalam Button Ki Khud Numai Ka
Keh Jaise Cha Hi Jaeingy Khudaai Par , Khuda Ho Kar

نہ چھوڑو ساتھ میرا ہجر کی شب ڈوبتے تارو
نہ پھیرو مجھ سے یوں آنکھیں، مرے غم آشنا ہو کر
Na Choro Saath Mera Hijar Ki Shab Dobtay Taro
Na Phero Mujh Se Yun Aankhein , Mere Gham Aashna Ho Kar

اِنھیں پھر کون جانچے، کون تولے گا نگاہوں میں
اگر کانٹے رہیں گُلشن میں پھولوں سے جدا ہو کر
Inhein Phir Kon Janchay , Kon Toly Ga Nigahon Mein
Agar Kantay Rahein Gulshan Mein Phoolon Se Juda Ho Kar

مرے دل نے حسینوں سے مزے لوٹے محبت کے
کبھی اِس پر فدا ہو کر، کبھی اُس پر فدا ہو کر
Mere Dil Ne Haseenon Se Mazay Loote Muhabbat Ke
Kabhi Is Par Fida Ho Kar , Kabhi Us Par Fida Ho Kar

جہاں سے وہ ہمیں ہلکی سی اک آواز دیتے ہیں
وہاں ہم جا پہنچتے ہیں محبت میں ہوا ہو کر
Jahan Se Woh Humain Halki See Ik Aawaaz Dete Hein
Wahan Hum Ja Pahochte Hein Muhabbat Mein Hawa Ho Kar

پیر نصیر الدین نصیر
Peer Naseer u Deen Naseer


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai