Sekhaai Hai Kis Ne Tumhein Be-Hijabi Haseenon Ka Shewah Hai Mastoor Rehna



نیرنگ

Nerang 

غضب ہے رقیبوں سے لگ لگ کے چلنا

 مگر ہم غریبوں سے یوں دُور رہنا

 GHazab Hai Raqeebon Se Lag Lag Ke Chalna

Magar Hum Ghareebon Se Yun Door Rehna

وہ قسمیں کہ ان سے ملیں گے نہ ہر گز

مگر دل کے ہاتھوں سے مجبور رہنا

 Woh Qasmein Keh Un Se Mileingy Na Har Giz

Magar Dil Ke Haathon Se Majboor Rehna

ستم ہے ہمارے ہی دل میں سمانا

ہماری ہی آنکھوںسے مستور رہنا

Sitam Hai Humare Hi Dil Mein Samana

Humari Hi Aankhon Se Mastoor Rehna
 

اقبال

Iqbal

 
سکھائی ہے کس نے تمہیں بے حجابی

 حسینوں کا شیوہ ہے مستور رہنا

 Sekhaai Hai Kis Ne Tumhein Be-Hijabi

Haseenon Ka Shewah Hai Mastoor Rehna

نبھائیں گے کیا ایک سے وہ محبت

 جنہیں ہر نظر میں ہو منظور رہنا

Nibhaeingy Kia Aik Se Woh Muhabbat

 Jinhein Har Nazar Mein Ho Manzoor Rehna

کوئی چال بس خاکساری میں ہو گی

تمہاری تو عادت تھی مغرور رہنا

Koi Chaal Khaksari Mein Hogi

Tumhari Tou Aadat Thi Maghroor Rehna


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo