Ye Rangeeni Nou-Bahar -ALLAH ALLAH Ye Jaam e Mai Khushgawar -ALLAH ALLAH
یہ رنگینیِ نوبہار، اللہ اللہ
یہ جامِ مے خوشگوار، اللہ اللہ
Ye Rangeeni Nou-Bahar -ALLAH ALLAH
Ye Jaam e Mai Khushgawar -ALLAH ALLAH
اُدھر ہیں نظر میں نظارے چمن کے
اِدھر رُوبرو رُوئے یار، اللہ اللہ
Udhar Hein Nazar Mein Nazare Chaman Ke
Idhar Roo-Baroo Rooye Yaar -ALLAH ALLAH
اُدھر جلوۂ مضطرب، توبہ توبہ
اِدھر یہ دلِ بے قرار، اللہ اللہ
Udhar Jalwah e Muztarib-Toubah Toubah
Idhar Ye Dil Be-Qarar -ALLAH ALLAH
وہ لب ہیں کہ ہے وجد میں موجِ کوثر
وہ زلفیں ہیں یا خلد زار، اللہ اللہ
Woh Lab Hein Keh Hai Wajad Mein Mouj e Kousar
Woh Zulfein Hein Ya Khald Zaar -ALLAH ALLAH
میں اِس حالتِ ہوش میں مست و بیخود
وہ مستی میں بھی ہوشیار، اللہ اللہ
Main Is Halat e Hosh Mein Mast o Be-Khud
Woh Masti Mein Bhi Hoshyar -ALLAH ALLAH
(امیر خسرو کی ایک فارسی غزل کا منظوم ترجمہ از صوفی تبسّم)
(Ameer Khasro Ki Aik Farsi Ghazal Ka Manzoom Tarjuma Az Soofi Tabassum)
Comments
Post a Comment