Aik Misra Bhi Jo Zinda Rahe Kafi Hai SABA Mere Har Shair Ki Shuhrat Ho Zaroori Tou Nahi



پیدائش:14 اگست 1908ء
Paidaish:Aug 14 , 1908
         آگرہ، اتر پردیش
Agrah ,U.P
وفات:29 اکتوبر 1991ء
Wafat:29 Oct 1991
اسلام آباد، پاکستان
Islam Abad , Pakistan

اس کو بھی ہم سے محبت ہو ضروری تو نہیں
عشق ہی عشق کی قیمت ہو ضروری تو نہیں
Us Ko Bhi Hum Se Muhabbat Ho Zaroori Tou Nahi
Ishq Hi Ishq Ki Qeemat Ho Zaroori Tou Nahi

ایک دن آپ کی برہم نگہی دیکھ چکے
روز اک تازہ قیامت ہو ضروری تو نہیں
Aik Din Aapki Barham Nighi Dekh Chukay
Roz Ik Tazah Qayamat Ho Zaroori Tou Nahi

میری شمعوں کو ہواؤں نے بجھایا ہوگا
یہ بھی ان کی ہی شرارت ہو ضروری تو نہیں
Meri Shama'aun Ko Hawaoun Ne Bujhaya Ho Ga
Ye Bhi Unki Hi Sharat Ho Zaroori Tou Nahi

اہل دنیا سے مراسم بھی برتنے ہوں گے
ہر نفس صرف عبادت ہو ضروری تو نہیں
Ahl e Dunya Se Marasam Bhi Baratne Hongy
Har Nafas Sirf Ibadat Ho Zaroori Tou Nahi

دوستی آپ سے لازم ہے مگر اس کے لئے
ساری دنیا سے عداوت ہو ضروری تو نہیں
Dosti Aap Se Lazim Hai Magar Is Ke Liye
Sari Dunya Se Adawat Ho Zaroori Tou Nahi

پرسش حال کو تم آؤ گے اس وقت مجھے
لب ہلانے کی بھی طاقت ہو ضروری تو نہیں
Pursish Haal Ko Tum Aao Gy Us Waqt Mujhe
Lab Hilane Ki Bhi Taqat Ho Zaroori Tou Nahi

سیکڑوں در ہیں زمانے میں گدائی کے لئے
آپ ہی کا در دولت ہو ضروری تو نہیں
Sainkdon Dar Hein Zamane Mein Gadaai Ke Liye
Aap Hi Ka Dar Daolat Ho Zaroori Tou Nahi

باہمی ربط میں رنجش بھی مزا دیتی ہے
بس محبت ہی محبت ہو ضروری تو نہیں
Bahmi Rabt Mein Ranjish Bhi Mazah Deti Hai
Bas Muhabbat Hi Muhabbat Ho Zaroori Tou Nahi

ظلم کے دور سے اکراہ دلی کافی ہے
ایک خوں ریز بغاوت ہو ضروری تو نہیں
Zulam Ke Daur Se Ikrah Dili Kafi Hai
Aik Khoon-Rez Baghawat Ho Zaroori Tou Nahi

ایک مصرعہ بھی جو زندہ رہے کافی ہے صباؔ
میرے ہر شعر کی شہرت ہو ضروری تو نہیں
Aik Misra Bhi Jo Zinda Rahe Kafi Hai SABA
Mere Har Shair Ki Shuhrat Ho Zaroori Tou Nahi

صبا اکبر آبادی
Saba Akbar Abadi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha