Roshan Hamein Se Manzil Hasti Ke Marhalay Hum Karwaan Ke Saath Buhat Door Tak Chalay



روشن ہمیں سے منزلِ ہستی کے مرحلے
ہم کارواں کے ساتھ بہت دور تک چلے
Roshan Hamein Se Manzil Hasti Ke Marhalay
Hum Karwaan Ke Saath Buhat Door Tak Chalay

اس شام ِغم کے بعد ہے اک ایسا راستہ
جس میں چراغ جلتے ہیں ظلمات کے لیے
Is Shaam e Gham Ke Bad Hai Ik Aisa Rasta
Jis Mein Charagh Jaltay Hein Zulmaat Ke Liye

اِک عہدِ نو بھی اپنا مداوا نہ کر سکا
لطف و عطا کی گود میں جورُ ستم پلے
Ik Ahd e Nou Bhi Apna Madawa Na Kar Saka
Lutf o Aata Ki Goud Mein Jor o Sitam Palay

چھیڑیں کسی کے گیسوئے برہم کی داستاں
رنج و الم کی رات کسی طرح تو ٹلے
Chaidengy Kisi Ke Gaisooye Barham Ki Dastan
Ranj o Alam Ki Raat Kisi Tarah Tou Talay

جلتی رہیں دیار محبت کی مشعلیں
کیا جانے آفتابِ تمنا کہاں ڈھلے
Jalti Rahein Diyar Muhabbat Ki Mashghalein
Kia Jane Aaftaab e Tamanna Kahan Dhalay

پھرتے ہیں لوگ چاک گریباں گلی گلی
مجروح زندگی کو لگائے ہوئے گلے
Phirtay Hein Log Chaak Gareban Gali Gali
Majrooh Zindagi Ko Lagaye Hoe Galay

ساغرؔ سلگ رہی ہے شگوفوں کی چاندنی
سیرِ چمن کو نکلے ہیں دو چار دل جلے
SAGHAR Sulag Rahi Hai Shagofon Ki Chandni
Sair e Chaman Ko Niklay Hein Do Chaar Dil Jalay

ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha