Zakham Dil Ke Sabhi Chupaye Gaye Aansooun Se Diye Jalaye Gaye



زخم دل کے سبھی چھپائے گئے
آنسوؤں سے دیے جلائے گئے
Zakham Dil Ke Sabhi Chupaye Gaye
Aansooun Se Diye Jalaye Gaye

پوری کوشش ہمیں رلانے کی
اور ہم تھے کہ مسکرائے گئے
Pori Koshish Humain Rulane Ki
Aur Hum Thay Keh Muskuraye Gaye

کیا بتائیں کہ کب ملی منزل
ہم تو ہر گام آزمائے گئے
Kia Bataein Keh Kab Mili Manzil
Hum Tou Har Gaam Aazmaye Gaye

تھا مقدر کہ اب بچھڑنا ہے
اس قدر اشک کیوں بہائے گئے؟
Tha Muqadar Keh Ab Bichadna Hai
Is Qadar Ashk Kion Bahaye Gaye?

خواب دیکھا کہ آ رہے ہیں وہ
دل کے سب راستے سجائے گئے
Khuwaab Dekha Keh Aa Rahe Hein Woh
Dil Ke Sab Rastay Sajaye Gaye

سوچتے ہیں کہ زندگی تجھ سے
کس طرح عمر بھر نبھائے گئے ؟
Sochtay Hein Keh Zindagi Tujh Se
Kis Tarah Umar Bhar Nibhaye Gaye?

اک ذرا سے خلوص کی خاطر
کیسے کیسے فریب کھائے گئے
Ik Zara Se Khuloos Ki Khatir
Kaise Kaise Faraib Khaye Gaye

یاد کچھ خاص اب نہیں ہم کو
پر نہ وعدے تِرے بھلائے گئے
Yaad Kuch Khaas Ab Nahi Hum Ko
Par Na Waday Tere Bhulaye Gaye

فرزانہ ساجد
Farzana Sajid


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai