December Chal Pada Ghar Se Suna Hai Pahonchnay Ko Hai



دسمبر چل پڑا گهر سے
December Chal Pada Ghar Se
سنا ہے پہنچنے کو ہے
Suna Hai Pahonchnay Ko Hai
مگر اس بار کچھ یوں ہے
Magar Is Baar Kuch Yun Hai
کہ میں ملنا نہیں چاہتی
Keh Main Milna Nahi Chahti
ستمگر سے
Sitamgar Se
میرا مطلب، دسمبر سے
Mera Matlab , December Se
کبهی آزردہ کرتا تها
Kabhi Aazardah Karta Tha
مجهے جاتا۔۔۔۔ دسمبر بهی
Mujhe Jata....December Bhi
مگر اب کے برس ہمدم
Magar Ab Ke Baras Humdum
بہت ہی خوف آتا ہے
Bohat Hi Khaof Aata Hai
مجهے آتے۔۔۔۔۔ دسمبر سے
Mujhe Aate ..... December Se
ستمگر سے
Sitamgar Se
دسمبر جو کبهی مجهکو
December Jo Kabhi Mujh Ko

بہت محبوب لگتا تها
Bohat Mahboob Lagta Hai
وہی سفاک لگتا ہے
Wahi Saffak Lagta Hai

بہت بیباک لگتا ہے
Bohat Be-Baak Lagta Hai
ہاں اس سنگدل مہینے سے
Haan Is Sangdil Maheenay Se
مجهے اب کے نہیں ملنا
Mujhe Ab Ke Nahi Milna
قسم اسکی..... نہیں ملنا
Qasam Uski ..... Nahi Milna
مگر سنتی ہوں یہ بهی میں
Magar Sunti Hoon Ye Bhi Main
کہ اس ظالم مہینے کو
Keh Is Zalim Maheenay Ko
کوئی بهی روک نہ پایا
Koi Bhi Rok Na Paya
نہ آنے سے، نہ جانے سے
Na Aanay Se , Na Janay Se
صدائیں یہ نہیں سنتا
Sadaaein Ye Nahi Sunta
وفائیں یہ نہیں کرتا
Wafaaein Ye Nahi Karta
یہ کرتا ہے فقط اتنا
Ye Karta Hai Faqat Itna
سزائیں سونپ جاتا ہے
Sazaaein Sonp Jata Hai


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo