Kia Khoob Adaein Hein Ma'asoom Sitamgar Ki Pagal Hi Na Kar Daly Ye Shaam November Ki



کیا   خوب   ادائیں   ہیں  معصوم  ستمگر کی 

پاگل   ہی   نہ  کر  ڈالے   یہ  شام   نومبر کی

Kia Khoob Adaein Hein Ma'asoom Sitamgar Ki

Pagal Hi Na Kar Daly Ye Shaam November Ki

ہم  عشق  کے ماروں کو نہ  فکر کوئی گھر کی

دھرتی  کا  بچھونہ   ہے اور  شال ہے  امبر کی

 Hum Ishq Ke Maron Ko Na Fikar Koi Ghar Ki

Dharti Ka Bichona Hai Aur Shaal Hai Ambar Ki

ساحل  کی  یہ  موجیں بھی دیدار کریں تیرا

چھو لینے کو بیکل  ہیں لہریں بھی سمندر کی

 Sahil Ki Ye Moujein Bhi Deedar Karein Tera

Cho Laine Ko Bekal Hein Lehrein Bhi Samandar Ki

رہتا  ہے  سدا  تنہا  جھرمٹ  میں ستاروں کے

تعریف  کروں کیا میں  اس چاند سے پیکر کی

 Rehta Hai Sada Tanha Jhurmat Mein Sitaron Ke

Ta'areef Karon Kia Main Us Chand Se Paikar Ki

لفظوں سے خیالوں  سے شیزا جو کرے حیراں

ہے  آج  ضرورت  بس  اک   ایسے  سخنور  کی

Lafzon Se Khayalon Se SHEEZA Jo Kare Hairan

Hai Aaj Zaroorat Bas Ik Aise Sukhanwar Ki

شیزا جلالپوری

Sheeza Jalalpori

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai