Phool , Khushbo , Bahaar Kuch Bhi Nahi Woh Nahi Tou Dayar Kuch Bhi Nahi
پھول، خوشبو، بہار کچھ بھی نہیں
وہ نہیں تو دیار کچھ بھی نہیں
Phool , Khushbo , Bahaar Kuch Bhi Nahi
Woh Nahi Tou Dayar Kuch Bhi Nahi
کون کس پر یقین کیسے کرے؟
چاہتوں کا معیار کچھ بھی نہیں
Kon Kis Par Yaqeen Kaise Kare?
Chahaton Ka Ma'ayaar Kuch Bhi Nahi
باخدا کچھ نہیں وفا کا صلہ
دل کا یہ کاروبار کچھ بھی نہیں
BaKhuda Kuch Nahi Wafa Ka Sila
Dil Ka Ye Karobaar Kuch Bhi Nahi
کچھ نہیں ھے یہ درد کا سودا
عشق اور انتظار کچھ بھی نہیں
Kuch Nahi Hai Ye Dard Ka Saoda
Ishq Aur Intezar Kuch Bhi Nahi
اب کہیں جا کے یہ سمجھ آیا
دوستی، اعتبار کچھ بھی نہیں
Ab Kahein Ja Ke Ye Samajh Aaya
Dosti , Aitbaar Kuch Bhi Nahi
یہ محبت بھی کیا مصیبت ھے ؟
اس میں کہتے ہیں ہار کچھ بھی نہیں
Ye Muhabbat Bhi Kia Museebat Hai?
Is Mein Kehtay Hein Haar Kuch Bhi Nahi
جب کوئی ساتھ ہی نہیں ھے بتول
منزلیں، رہگزار کچھ بھی نہیں
Jab Koi Saath Hi Nahi Hai BATOOL
Manzilein , Rahguzar Kuch Bhi Nahi
(فاخرہ بتول )
(Fakhra Batool)
Comments
Post a Comment