Shaam Se Aankh Mein Nami See Hai Aaj Phir Aap Mein Kami See Hai
شام سے آنکھ میں نمی سی ہے
آج پھر آپ کی کمی سی ہے
Shaam Se Aankh Mein Nami See Hai
Aaj Phir Aap Mein Kami See Hai
دفن کر دو ہمیں کہ سانس ملے
نبض کچھ دیر سے تھمی سی ہے
Dafan Kar Do Humain Keh Saans Mily
Nabz Kuch Der Se Thami See Hai
کون پتھرا گیا ہے آنکھوں میں
برف پلکوں پہ کیوں جمی سی ہے
Kon Pathra Gaya Hai Aankhon Mein
Barf Palkon Pe Kion Jami See Hai
وقت رہتا نہیں کہیں ٹک کر
اس کی عادت بھی آدمی سی ہے
Waqt Rehta Nahi Kahein Tik Kar
Uski Aadat Bhi Aadmi See Hai
آئیے راستے الگ کر لیں
یہ ضرورت بھی باہمی سی ہے
Aayeye Rastay Alag Kar Lein
Ye Zaroorat Bhi Bahmi See Hai
گلزار
Gulzar
Comments
Post a Comment