Gol Hoi Shamma Shabistan Chand Tare So Gaye Mout Ke Pehlo Mein Shaam e Gham Ke Mare So Gaye
گل ہوئی شمع ِشبستاں چاند تارے سو گئے
موت کے پہلو میں شامِ غم کے مارے سو گئے
Gol Hoi Shamma Shabistan Chand Tare So Gaye
Mout Ke Pehlo Mein Shaam e Gham Ke Mare So Gaye
بے قراری میں بھی اکثر درد مندانِ جنوں
اے فریب آرزو تیرے سہارے سو گئے
Be-Qarari Mein Bhi Aksar Dard Mandan e Junoon
Aey Faraib Aarzoo Tere Sahare So Gaye
کاروبارِ گرمئ دوراں کی ٹھنڈی راکھ ہیں
اے شگوفوں کے خداوند! شرارے سو گئے
Karobar e Gami e Daoran Ki Thandi Raakh Hein
Aey Shagofon Ke Khudawand ! Sharare So Gaye
دے رہی ہے آج بھی موجِ حوادث لوریاں
شورشِ طوفاں سے گھبرا کے کنارے سو گئے
De Rahi Hai Aaj Bhi Mauj e Hawadis Looriyan
Shorash e Toofaan Se Ghabra Ke Kinare So Gaye
جن سے نغمے تھے وفاؤں کے سراپا زندگی
وہ محبت کی تلاوت کے اشارے سو گئے
Jin Ke Naghmay Thay Wafaoun Ke Sarapa Zindagi
Woh Muhabbat Ki Tilawat Ke Ishare So Gaye
کیا نہیں معلوم تجھ کو اے مرے مغموم دل
جن سے نظریں تھیں شگفتہ وہ نظارے سو گئے
Kia Nahi Maloom Tujh Ko Aey Mere Maghmoom Dil
Jin Se Nazsrein Thein Shagufta Woh Nazare So Gaye
جن کے دم سے بزمِ ساغر تھی حریف کہکشاں
اے شب ہجراں کہاں وہ ماہ پارے سو گئے
Jin Ke Dum Se Bazm e SAGHAR Thi Hareef Kehkeshan
Aey Shab e Hijraan Kahan Woh Maah Pare So Gaye
ساغرصدیقی
Saghar Siddiqui
Comments
Post a Comment