Ankhon mein phir wo khwab sarayet na kar sake Hum us se hat ke koi muhabbat na kar sake



آنکھوں میں پھر وہ خواب سرایت نہ کر سکے
ہم اُس سے ہٹ کے کوئی مُحبّت نہ کر سکے
جنگل بھی، دشت بھی تھا میسّر ہمیں مگر
ایسے ہیں بدنصیب کہ وحشت نہ کر سکے
ہم نے  محبّتوں کو کئی سال تک پڑھا
پھر بھی ہم اِس پہ کوئی نصیحت نہ کر سکے
مہنگی پڑی سُکوں کی خرید و فروخت بھی
ہم کم شناس یہ بھی تجارت نہ کر سکے
افسوس آج پھر سے بروئے نسیمِ شب
سب مِل کے اِک دئیے کی حمایت نہ کر سکے
اُن کا بروزِ حشر الگ ہونا ہے حساب
اپنے قرار کی جو  حفاظت نہ کر سکے
ہنس کر دعائے خیر کرو _ اُن کے واسطے
جو لوگ خود کو ہجر میں غارت نہ کر سکے
پیڑوں کو، پنچھیوں کو، سمندر کو، دشت کو
آوارگی کے بعد بھی عادت نہ کر سکے
جیسا سلوک وقت کا شوزب کے ساتھ تھا
مُمکن ہے اُس کی کوئی ملامت نہ کر سکے
شوزب حکیم
Ankhon mein phir wo khwab sarayet na kar sake
Hum us se hat ke koi muhabbat na kar sake
Jungle bhi, dasht bhi tha mayassir humen magar
Aise hain bad naseeb ke wehshat na kar sake
Hum ne muhabbaton ko kaiy sal tak padha
Phir bhi hum is pe koi naseehat na kar sake
Mehngi padi sukoon ki khareed o furokht bhi
Hum kam shanas ye bhi tijarat na kar sake
Afsos aj phir se ba ru e naseem e shab
Sab mil ke ek diye ki himayet na kar sake
Un ka ba roz e hashr alag hona hai hisab
Apne qarar ki jo hifazat na kar sake
Hans kar dua e khair karo  un ke waste
Jo loag khud ko hijr mein gharat na kar sake
Pedon ko, panchhiyon ko, samundar ko, dasht ko
Awargi ke bad bhi  adat na kar sake
Jaisa sulook waqt ka Shozib ke sath tha
Mumkin hai, us ki koi malamat na kar sake

Shozib Hakeem


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai