Na Samjha Hoon Na Samjhaya Gaya Hoon Badi Uljhan Mein Uljhaya Gaya Hoon



نہ سمجھا ہوں نہ سمجھایا گیا ہوں

بڑی الجھن میں الجھایا گیا ہوں

Na Samjha Hoon Na Samjhaya Gaya Hoon

Badi Uljhan Mein Uljhaya Gaya Hoon

سبب پوچھو نہ میری تشنگی کا

اک اک قطرے کو ترسایا گیا ہوں

Sabab Poocho Na Meri Tishnagi Ka

Ik Ik Qatre Ko Tarsaya Gaya Hoon

مجھے جو دیکھتے ہو اس زمیں پر

فلک سے توڑ کر لایا گیا ہوں

Mujhe Jo Daikhtay Ho Is Zameen Par

Falak Se Tod Kar Laya Gaya Hoon

کہاں اب ڈھونڈتے ہو خاک میری

ہوا کے ساتھ ہی آیا گیا ہوں

Kahan Ab Dhoondtay Ho Khaak Mer

Hawa Ke Saath Hi Aaya Gaya Hoon

سزائیں مجھ کو کیسی مل رہی ہیں

میں مجرم کس کا ٹھہرایا گیا ہوں

Sazaein Mujh Ko Kaisi Mil Rahi Hein

Main Mujrim Kis Ka Thehraya Gaya Hoon

شعور آئے کہاں سے میرے اندر

غلط جو راہ دکھلایا گیا ہوں

Shaour Aaye Kahan Se Mere Andar

Ghalat Jo Rah Dekhlaya Gaya Hoon

قربان آتش

Qurban Aatish


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai