Do Jahanon Ki Khabar Rakhtay Hein Badah-Khanon Ki Khabar Rakhtay Hein



دو جہانوں کی خبر رکھتے ہیں

بادہ خانوں کی خبر رکھتے ہیں

Do Jahanon Ki Khabar Rakhtay Hein

Badah-Khanon Ki  Khabar Rakhtay Hein 

خارزاروں سے تعلق ہے ہمیں

گُلستانوں کی خبر رکھتے ہیں

Khaarzaaron Se Ta'aluq Hai Humain

Gulistanon Ki Khabar Rakhtay Hein 

ہم اُلٹ دیتے ہیں صدیوں کے نقاب

ہم زمانوں کی خبر رکھتے ہیں

Ye Ulat Dete Hein Sadion Ke Naqaab

Hum Zamanon Ki Khabar Rakhtay Hein 

اُن کی گلیوں کے مکینوں کی سُنو

لا مکانوں کی خبر رکھتے ہیں

Unki Galion Ke Makeenon Ki Suno

La-Makanon Ki Khabar Rakhtay Hein 

چند آوارہ بگولے اے دوست

کاروانوں کی خبر رکھتے ہیں

 Chand Aawarah Bagoly Ae Dost

Karwanon Ki Khabar Rakhtay Hein

زخم کھانے کا سلیقہ ہو جنہیں

وہ نشانوں کی خبر رکھتے ہیں

Zakham Khane Ka Saleeqa Ho Jinhein

Woh Nishanon Ki Khabar Rakhtay Hein 

کُچھ زمینوں کے ستارے ساغرؔ

آسمانوں کی خبر رکھتے ہیں

Kuch Zameenon Ke Sitare SAGHAR

Aasmanon Ki Khabar Rakhtay Hein

ساغر صدیقی

Saghar Siddiqui


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo