Chaman Peh Daam Peh Darwaish Muskurata Hai Har Ik Muqaam Peh Darwaish Muskurata Hai



چمن پہ دام پہ درویش مُسکراتا ہے
ہر اِک مقام پہ درویش مُسکراتا ہے
Chaman Peh Daam Peh Darwaish Muskurata Hai
Har Ik Muqaam Peh Darwaish Muskurata Hai

صُراحی بزم میں جب قہقہے اُگلتی ہے
سکُوتِ جام پہ درویش مُسکراتا ہے
Surahi e Bazm Mein Jab Qahqahay Ugalti Hai
Sukoot e Jaam Peh Darwaish Muskurata Hai

ہزار حشر اُٹھا اے تغیر دُنیا
تِرے خرام پہ درویش مُسکراتا
Hazaar Hashar Utha Aey Taghayur Dunya
Tere Kharam Peh Darwaish Muskurata Hai

شفیق میں خونِ شہیداں کا رنگ شامل ہے
فروغِ شام پہ درویش مُسکراتا ہے
Shafeeq Mein Khoon e Shaheedaan Ka Rang Shamil Hai
Farogh e Shaam Peh Darwaish Muskurata Hai

کبھی خُدا سے شکایت کبھی گِلہ خود سے
مذاقِ عام پہ درویش مُسکراتا ہے
Kabhi Khuda Se Shikayat Kabhi Gila Khud Se
Mazaq e Aam Peh Darwaish Muskurata Hai

ہَوس مشیر ہو جس بادشاہ کی ساغؔر
تو اِس غلام پہ درویش مُسکراتا ہے
Hawas Musheer Ho Jis Badshah Ki SAGHAR
Tou Tou Is Ghulam Peh Darwaish Muskurata Hai

کلام ۔ ساغر صدیقی
Kalam Saghar Siddiqui

کتاب ۔ کُلیاتِ سَاغر ۔ صفحہ 426
Kitab - Kulyat e Saghar-Page:426


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo