Hijar Mein Guzri Hai Us Raat Ki Batein Na Karo Aap Tajdeed Mulaqaat Ki Batein Na Karo



ہجر میں گزری ہے اس رات کی باتیں نہ کرو

آپ   تجدیدِ   ملاقات   کی   باتیں  نہ  کرو 

Hijar Mein Guzri Hai Us Raat Ki Batein Na Karo

Aap Tajdeed Mulaqaat Ki Batein Na Karo

دل نے ہر دور میں دنیا سے بغاوت کی ہے

دل سے تم رسم و روایات کی باتیں نہ کرو

Dil Ne Har Daur Mein Dunya Se Baghawat Ki Hai

Dil Se Tum Rasm o Rawayaat Ki Batein Na Karo

ہمتیں قافلے والوں کی نہ ہوں پست کہیں

رہروِ  گردشِ   حالات  کی   باتیں  نہ   کرو

Himatein Qafly Walon Ki Na Hoon Past Kahein

Rahro Gardish e Halaat Ki Batein Na Karo

چاہیے جوشِ طلب میرے شکستہ دل کو

ایسے حالات میں صدمات کی باتیں نہ کرو

Chahiye Josh e Talab Mere Shikasta Dil Ko

Aise Halaat Mein Sadmaat Ki Batein Na Karo

زندگی  اور بھی  تشریح  طلب  ہے یارو

 غم کے تپتے ہوئے لمحات کی باتیں نہ کرو

 Zindagi Aur Bhi Tashreeh Talab Hai Yaro

Gham Ke Tapte Hoe Lamhaat Lamhaat Ki Batein Na Karo

کتنے ہی زخم ہرے ہیں مرے سینے میں نیاز

آپ اب مجھ سے عنایات کی باتیں نہ کرو

Kitne Hi Zakham Hare Hein Mere Seenay Mein NIAZ

Aap Ab Mujh Se Inayaat Ki Batein Na Karo


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo