Ik Shahinshah Ne Banwa Ke Haseen Taj Mahal
اک شہنشاہ نے بنوا کے حسیں تاج محل
ساری دنیا کو محبت کی نشانی دی ہے
اس کے سائے میں سدا پیار کے چرچے ہوں گے
ختم جو ہو نہ سکے گی وہ کہانی دی ہے
اک شہنشاہ نے بنوا کے حسیں تاج محل
تاج وہ شمع ہے الفت کے صنم خانے کی
جس کے پروانوں میں مفلس بھی ہیں زردار بھی ہیں
سنگ مرمر میں سمائے ہوئے خوابوں کی قسم
مرحلے پیار کے آساں بھی ہیں دشوار بھی ہیں
دل کو اک جوش ارادوں کو جوانی دی ہے
اک شہنشاہ نے بنوا کے حسیں تاج محل
تاج اک زندہ تصور ہے کسی شاعر کا
اس کا افسانہ حقیقت کے سوا کچھ بھی نہیں
اس کے آغوش میں آ کر یہ گماں ہوتا ہے
زندگی جیسے محبت کے سوا کچھ بھی نہیں
تاج نے پیار کی موجوں کو روانی دی ہے
اک شہنشاہ نے بنوا کے حسیں تاج محل
یہ حسیں رات یہ مہکی ہوئی پر نور فضا
ہو اجازت تو یہ دل عشق کا اظہار کرے
عشق انسان کو انسان بنا دیتا ہے
کس کی ہمت ہے محبت سے جو انکار کرے
آج تقدیر نے یہ رات سہانی دی ہے
اک شہنشاہ نے بنوا کے حسیں تاج محل
ساری دنیا کو محبت کی نشانی دی ہے
اک شہنشاہ نے بنوا کے حسیں تاج محل
شکیل بدایونی
Ik Shahinshah Ne Banwa Ke Haseen Taj Mahal
Saari Dunya Ko Muhabbat Ki Nishani Di Hai
Is Ke Saaye Mein Sada Piyar Ke Charchay Hongy
Khatam Jo Ho Na Sakegi Woh Kahani Di Hai
Ik Shahinshah Ne Banwa Ke Haseen Taj Mahal
Taj Woh Shamma Hai Ulfat Ki Sanam Khane Ki
Jis Ke Parwanon Mein Muflis Bhi Hai Zardar Bhi Hain
Sang e Marmar Mein Samaye Hue Khuwabon Ki Qasam
Marhale Piyar Ke Asan Bhi Hain Dushwar Bhi Hain
Dil Ko Ik Josh Iradon Ko Jawani Di Hai
Ik Shahinshah Ne Banwa Ke Haseen Taj Mahal
Marhale Piyar Ke Asan Bhi Hain Dushwar Bhi Hain
Taj Ik Zinda Tasawar Hai Kisi Shair Ka
Us Ka Afsana Haqeeqat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Is Ke Aghosh Mein Aa Kar Ye Guman Hota Hai
Zindagi Jaise Muhabbat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Taj Ne Piyar Ki Moujon Ko Rawani Di Hai
Ik Shahinshah Ne Banwa Ke Haseen Taj Mahal
Ye Haseen Raat Ye Mehki Hui Pur Noor Fiza
Ho Ijazat To Ye Dil Ishq Ka Izhar Kare
Ishq Insan Ko Insan Bana Daita Hai
Kis Ko Himmat Hai Muhabbat Se Jo Inkar Kare
Aaj Taqdeer Ne Ye Raat Suhani Di Hai
Ik Shahinshah Ne Banwa Ke Haseen Taj Mahal
Saari Dunya Ko Muhabbat Ki Nishani Di Hai
Ik Shahinshah Ne Banwa Ke Haseen Taj Mahal
Shakeel Badayuni
Comments
Post a Comment