Kitna Khush Feham Hai Woh Shakhs Keh Har Mousam Mein Ik Naye Rukh Nayi Soorat Se Mujhe Sochta Hai
نوشی گیلانی
Noshi Gailani
کِتنا خوش فہم ہے وہ شخص کہ ہر موسم میں
اِک نئے رُخ نئی صُورت سے مُجھے سوچتا ہے
Kitna Khush Feham Hai Woh Shakhs Keh Har Mousam Mein
Ik Naye Rukh Nayi Soorat Se Mujhe Sochta Hai
گرچہ اب ترکِ مراسم کو بہت دیر ہُوئی
اب بھی وہ میری اجازت سے مُجھے سوچتا ہے
Garcha Ab Tark e Ta'aluq Ko Buhat Der Hoi
Ab Bhi Woh Meri Ijazat Se Mujhe Sochta Hai
میں تو مَرجاؤں اگر سوچتے لگ جاؤں اُسے
اور وہ کِتنی سہُولت سے مُجھے سوچتا ہے
Main Tou Mar Jaoun Agar Sochtay Lag Jaoun Usay
Aur Woh Kitni Saholat Se Mujhe Sochta Hai
جِس نے سوچا ہی نہ تھا ہجر کا ممکن ہونا
دُکھ میں ڈوُبی ہُوئی حیرت سے مُجھے سوچتا ہے
Jis Ne Socha Hi Na Tha Hijar Ka Mumkin Hona
Dukh Mein Doobi Hoi Hairat Se Mujhe Sochta Hai
Comments
Post a Comment