Nawah e Wusa'at Maidan Mein , Hairani Buhat Hai Dilon Mein Is Kharabi Se Pareshani Buhat Hai




نواحِ  وسعتِ میداں  میں ، حیرانی بہت ہے
دِلوں میں اِس خرابی سے پریشانی بہت ہے

Nawah e Wusa'at Maidan Mein , Hairani Buhat Hai

Dilon Mein Is Kharabi Se Pareshani Buhat Hai

کہاں سے ہے ، کہاں تک ہے ، خبر اِس کی نہیں ملتی
یہ  دُنیا  اپنے  پھیلاؤ  میں ، انجانی  بہت  ہے

Kahan Se Hai , Kahan Tak Hai , Khabar Iski Nahi Milti

Ye Dunya Apne Phailao Mein , Anjani Buhat Hai 

بڑی مشکل سے یہ جانا کہ ہجرِ یار میں رہنا
بہت مشکل ہے ، پر آخر میں آسانی بہت ہے

Badi Mushkil Se Ye Jana Keh Hijar e Yaar Mein Rehna

Buhat Mushkil Hai , Par Aakhir Mein Aasani Buhat Hai

بَسر جتنی ہُوئی بے کار و بے منزل زمانے میں
مجھے  اِس  زندگانی  پر ، پشیمانی  بہت  ہے

Basar Jitni Hoi Be-Kar o Be-Manzil Zamane Mein

Mujhe Is Zindagani Par , Pashemani Buhat Hai

نکل آتے ہیں رستے خود بخود جب کچھ نہ ہوتا ہو
کہ مشکل میں ہمیں  خوابوں کی  ارزانی  بہت  ہے

Nikal Aate Hein Raste Khud Ba Khud Jab Kuch Na Hota Ho

Keh Mushkil Mein Humain Khuwabon Ki Arzani Buhat Hai

بہت رونق ہے بازاروں میں ، گلیوں اور محلوں میں
پر اِس رونق سے ، شہرِ  دِل  میں  ویرانی  بہت  ہے

Buhat Ronaq Hai Bazaron Mein , Galion Aur Mahalon Mein

Par Is Ronaq Se , Shehr e Dil Mein Weerani Buhat Hai

مُنیرؔ نیازی
Munir Niazi

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai