Samandar is qadar shoreeda sar kiun lag raha hai Kinare par bhi hum ko itna dar kiuon lag raha hai



سمندر اس قدر شوریدہ سر کیوں لگ رہاہے
کنارے پر بھی ہم کو اتنا ڈر کیوں لگ رہاہے
وہ جس کی جراتِ پرواز کے چرچے بُہت تھے
وُہی طائر ہمیں بے بال و پر کیوں لگ رہاہے
وہ جس کے نام سے روشن تھے مستقبل کے سب خواب
وُہی چہرہ ہمیں نا معتبر کیوں لگ رہاہے
بہاریں جس کی شاخوں سے گواہی مانگتی تھیں
وُہی موسم ہمیں اب بے ثمر کیوں لگ رہاہے
درودیوار اتنے اجنبی کیوں لگ رہیے ہیں
خود اپنے گھر میں آخر اتنا ڈر کیوں لگ رہاہے
افتخار عارف
Samandar is qadar shoreeda sar kiun lag raha hai
Kinare par bhi hum ko itna dar kiuon lag raha hai
Wo jis ki jurat e parwaaz keh charchaa buhat tha
Wohi Tahir humain be bal o par kiuon lag raha hai
Wo jis k nam se Roshan tha mustaqbil ke sab khuwaab
Wohi chehra humain na-motbar kiuon lag raha hai
Baharain jis ki shakhon se gawahi mangti thein
Wohi mosam humain ab be-samar kiuon lag raha hai
Dar o deewar itna ajnabi kiuon lag rahe hain
Khud apna ghar mein akhir itna dar kiuon lag raha hai

Iftikhar Arif


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai