Aankh Ne Raat Jab Aik Chand Mukamal Daikha Phir Samandar Ko Bhi Hote Hoe Pagal Daikha



آنکھ نے رات جب ایک چاند مکمل  دیکھا
پھر سمندر کو  بھی ہوتے ہوئے پاگل دیکھا
Aankh Ne Raat Jab Aik Chand Mukamal Daikha
Phir Samandar Ko Bhi Hote Hoe Pagal Daikha
رات پھر دیر تلک کی تیری باتیں خود سے
رات بھر سامنے چہرہ  تیرا  پل  پل دیکھا
Raat Phir Der Talak Ki Teri Batein Khud Se
Raat Bhar Samne Chehra Tera Pal Pal Daikha

آج یادوں کی گھٹا ٹوٹ کے برسی دل پر
آج  ہم  نے بھی برستا  ہوا  بادل   دیکھا
Aaj Yadon Ki Ghata Toot Ke Barsi Dil Par
Aaj Hum Ne Bhi Barasta Howa Badal Daikha

حافظہ چھین لیا  ہم  سے غمِ  دنیا  نے
آج ہم بھول گئے اس کو جسے کل دیکھا
Hafizah Cheen Lia Hum Se Gham e Dunya Ne
Aaj Hum Bhool Gaye Usko Jise Kal Daikha

ایک وہ تھی کہ بہت ہنستی تھی ناصر          
آج اس کی بھی آنکھوں سے بہتا کاجل دیکھا
Aik Woh Thi Keh Buhat Hansti Thi NASIR
Aaj Uski Bhi Aankhon Se Behta Kajal Daikha

ناصر کاظمی
Nasir Kazmi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo