Dil Tujhe Naaz Hai Jis Shakhs Ki Dildari Par Daikh Ab Woh Bhi Utar Aaya Adakari Par



دل تجھے ناز ہے جس شخص کی دلداری پر​
دیکھ اب وہ بھی اتر آیا اداکاری پر
Dil Tujhe Naaz Hai Jis Shakhs Ki Dildari Par
Daikh Ab Woh Bhi Utar Aaya Adakari Par

میں نے دشمن کو جگایا تو بہت تھا لیکن​
احتجاجاً نہیں جاگا مری بیداری پر​
Main Ne Dushman Ko Jagaya Tou Buhat Tha Lekin
Ihtejajan Nahi Jaga Meri Bedari Par

آدمی آدمی کو کھائے چلا جاتا ہے​
کچھ تو تحقیق کرو اس نئی بیماری پر​
Aadmi Aadmi Ko Khaye Chala Jata Hai
Kuch Tou Tahqeeq Karo Is Nai Bemaari Par

کبھی اس جرم پہ سر کاٹ دئے جاتے تھے​
اب تو انعام دیا جاتا ہے غدّاری پر​
Kabhi Is Juram Peh Sar Kaat Diye Jate Thay
Ab Tou Ina'am Diya Jata Hai Ghadari Par

تیری قربت کا نشہ ٹوٹ رہا ہے مجھ میں​
اس قدر سہل نہ ہو تو مری دشواری پر
Teri Qurbat Ka Nasha Toot Raha Hai Mujh Mein
Is Qadar Sahal Na Ho Tu Meri Dushwari Par

مجھ میں یوں تازہ ملاقات کے موسم جاگے​
آئینہ ہنسنے لگا ہے مری تیاری پر
Mujh Mein Yun Taza Mulaqaat Ke Mousam Jagy
Aaina Hansne Laga Hai Meri Tayari Par

کوئی دیکھے بھرے بازار کی ویرانی کو​
کچھ نہ کچھ مفت ہے ہر شے کی خریداری پر​
Koi Daikhe Bhare Bazar Ki Weerani Ko
Kuch Na Kuch Muft Hai Har Shay Ki Khareedari Par

بس یہی وقت ہے سچ منہ سے نکل جانے دو​
لوگ اتر آئے ہیں ظالم کی طرف داری پر​
Bas Yahi Waqt Hai Sach Munh Se Nikal Jane Do
Log Utar Aaye Hein Zalim Ki Tarafdari Par

سلیم کوثر
Saleem Kousar


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha